Talaash-e-yaar mein dehro haram ko chal diye hum bhi
Nazar jab padh gayi tum par to shayda hogaye hum bhi
Nawazish ke to charche sun chuke the aapke hazrat
Nawazish jab hue hum par to fida hogaye hum bhi
Sitare bahut se chamke andheri raat mein lekin
Sitara noor ka chamka to fida hogaye hum bhi
Ghataaein kufr ki chaae hue thi sab zamane mein
Piye jab jaam wehdat ka rasaae kar liye hum bhi
Nigaahe arsh par pahoonchi dare jaana pe jab pahoonche
Na samjhe the ye yazdani na samjhaaye gaye hum bhi