Irfani Kalaam

Add to favourites


Mujhko khayal-e-yaar ne zer-o-zabar bana diya
Tere jamal-e-husn ne dehro haram chuda diya

Maikhana-e-sanam mein aap aakar ke dekhiye zara
Nazron se jo bhi pee liya saari khudi mita diya

Yun to humae aata nahi sajdon ka kya shaoor hai
Naksh-e-kadam jo paa liya sarko wahin jhuka diya

Sheesha-e-dil mein aagaye apna jamal dekhkar
Dekhe na the jo hum kabhi woh bhi humae dikha diya

Masjid mein bhi gaye the hum sajde hazar kar liye
Lekin jamal-e-yaar ne sajde humae bhula diya

Zahid teri namaz mein rukn ada kare sada
Aur yehi namaz-e-ishq ne sajde humae bhula diya

Fikr karo na hashr ka daman-e-yaar hath mein
Yazdani peer hosh mein jalwa humae dikha diya