Biography



Peer-O-Murshid Hazrat Al-Haj Khwaja Shaikh Muhammed Fazal Hussain Shah Madari, Qadri, Chisti Al-Maroof Peer Yazdani Rehmatullahealaih Tariqat O Irfan Ke Aise Chamakdar Sitare Hai Jis Se Ek Zamana Faizyab Ho Raha Hai. Aap Ki Sawane Hayat Ka Unwan Ganje E Khafi Is Liye Rakha Gaya Kyun Ke Aap Ne Apni Hasti Ko Bohat Chupa Kar Rakha. Aap Ko Allahpaak Ne Apne Habib Sallallaho Alaihiwassallam Se Ishq Ke Sadke Tufail Intehahi Azeem Maqam O Manzilat Ata Ki Hai . Lekin Aap Ek Aisa Chupa Hua Khazana Hai Jis Ki Haqeeqat Ko Shayad Hi Koi Samajh Saka Hai.

Is Kitab Me Murshid E Girami Ke Halat E Zindagi, Aqwal O Afaal, Karamaat, Aap Ke Khulfao, Muridon Aur Chahne Walo Ke Ta’surat O Tajrubat Ki Roshni Me Aap Ki Sawane Hayat Bayan Karni Ki Adna Si Koshish Ki Gayee Hai. Taake Aane Wali Naslo Tak Is Ganje E Khafi Ki Kuch Haqeeqat Pohanch Sake Aur Zamana Beeswee Sadi Ki Is Azeem Hasti Se Faizyab Ho Sake.

Qabile Tehseen Hai Who Log Jinhe Peer E Yazdani Rehmatullahealaih Ki Sohbat Naseeb Hui, Aur Khush Kismat Hai Who Jinhone Peer O Murshid Ke Noorani Chehre Ki Ziyarat Ki Hai, Kyun Ke Aisi Hastiyon Ko Dekhna Bhi Ibadat Hai.

Yak Zamana Sohbate Ba Awliya. Behter Az Sad Sala Ta’at E Beriya.

Paidaeesh Aur Isme Grami

Madhya Pardesh Ke Zile Rajgadh Ko Ek Tarikhi Makam Hasil Hai, Ye Sarzameen Hamesha Se Awliya Allah Ka Gehwara Rahi Hai. Rajgadh Zile Me Mashhoor Sufiya Aur Awliya E Karam Aaram Farma Hai. Isi Zile Rajgadh Ke Ek Chote Se Kasbe Khichipur Me 1915 Iswee Me Peer O Murshid Yazdani Sarkar Rehmatullahealaih Ki Paidaeesh Hui. Aap Ki Walida Mohatarma Farmati Hai Ke Jis Waqt Aap Ki Wiladat Hui Us Waqt Khilchipur Ke Raja Ke Mahal Me Topo Ki Salami Di Ja Rahi Thi, Aur Khoob Atishbazi Ho Rahi Thi. Usi Din Raja Ke Ghar Bhi Beta Paida Hua Tha. Goya Khichipur Ki Saltanat Ke Raja Aur Is Sarzameen Ke Ruhaniyat Ke Shahansha Peer E Yazdani Rehmatullahealaih Dono Ki Paidaish Ek Hi Roz Hui Hai.

Peer O Murshid Rehmatullahealaih Ke Walid E Mohtaram Ka Naam Haji Subhan Ji Shaikh Agwan Rehmatullahealaih. Aur Walida Mauhtrama Ka Naam Sakina Bi Hai. Aap Ki 2 Behne Aur 4 Bhai The.

Aap Ke Walid E Mohataram Rehmatullahealaih Zareye Ma’sh Ke Liye Tijarat Karte The Aur Hazrat Badakshahani Rehmatullahealaih Ke Murid Rahe. Ek Buzurg Shakhsiyat Aur Tariqat Me Aala Makaam Rakhte The. Deeni Mahol Me Aap Ne Apne Bachcho Ki Parwarish Farmayee. Walid E Girami Rehmatullahealaih Ki Mazar E Muqaddas Bhi Khilchi Pur Sharif Me Hai.

Peer O Murshid Ke Walid Sahab Ne Aap Ka Isme Grami Muhammed Fazal Rakha Tha, Lekin Kuch Umar Sharif Guzarne Ke Baad Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ne Sulatane Karbala Imam Hussain Alaihisalam Ke Ishq Me Apne Naam Ke Aage Hussain Laga Diya. Aur Aap Muhammed Fazal Hussain Ke Naam Se Mashoor Hue.

Ibtedayee Talim Aur Bachpan Ke Halaat

Murshide Kamil Ki Ibtedayee Zahiri Talim Darse Qurani Watan Ke Madrase Me Aur School Hindi Me Teesri Jamat Tak Hui. Lekin Allah Tabarak Wa Ta’ala Jab Kisi Ko Apna Wali Banane Ka Irada Karta Hai To Use Ilm E Ludanni Ata Farmata Hai. Peer O Murshid Ka Seena Ilm E Ludanni Se Is Qadar Sharsaar Hua Ke Aap Per Zahiri O Batini Sare Oloom Roshnas Hue Aur Bade Bade Tariqat, Shariat O Fikah Ke Masle Assani Se Hal Kar Diya Kerte.

Hazrat Syed Qurban Ali Shah Batakhshani Rehmatullahealaih Ki Peer Yazdani Rehmatullahealaih Ke Mutalliq Peshan Goyee

Hazrat Syed Qurban Ali Shah Batkhshani Rehmatullahealaih Madhya Pardesh Ke Zila Rajgadh Ke Qutub Guzre Hai, Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ki Zindagi Pe Hazrat Batakshaani Rehmatullahealaih Ka Bada Karam Raha. Bachpan Mein Ek Baar Peer E Yazdani Rehmatullahealaih Ek Laahak Marz Mein Mubtila Huae. Jis Marz Ki Wajeh Se Aap Ke Pehle Birader Ibrahim Is Duniya-E-Faani Se Kooch Kar Gaye The. Hazrat Peer Yazdani Rehmatullahealaih Bhi Paidaeesh Ke Baad Isi Marz Mein Mubtila Huae Aur Is Shadid Marz Ki Wajeh Se Aap Ke Walid E Majid Aap Ko Apne Peer-O-Murshid Hazrat Batakshaani Rehmatullahealaih Ke Paas Legaye Aur Dua Ki Darkhasth Ki. Tab Hazrat Batakshaani Rehmatullahealaihne Peer O Murshid Ko God Me Liya, Shifa E Aajila O Kamila Ki Dua Ki, Aur Peshan Goyee Farmaee Ke “Ye Baccha Duniya Mein Kam Aur Deen Mein Zyada Naam Roshan Karega”. Aur Aap Hazrat Batakshaani Rehmatullahealaih Ki Dua Se Sehat Yaab Hue. Aur Aaj Aap Ki Deeni Khidmaat Ka Danka Sirf Hindustan Hi Nahi Balke Bairune Mulk Me Bhi Baj Raha Hai.

Charcha Mere Sanam Ka Zamane Me Khoob Hai, Shaida Mere Sanam Ke Zamane Me Khoob Hai.

Baba Huzoor Peer E Yazdani Rehmatullahealaih Ki Paidaeesh Ke Kuch Maah Baad Hazrat Batakhshani Rehmatullahealaih Ne 20 Ramzaan 1334 Hijri (21 July 1916 Eswee) Ko Is Jahane Faani Se Parda Liya. Aaj Bhi Rajgadh Me Aap Ka Aastana Rushd O Hidayat Ka Markaz Bana Hua Hai. Baba Batkhshani Rehmatullahealaih Ka Urs Shareef Har Saal 10, 11, 12 March Ko Badi Hi Aqeedat O Mohabbat Se Manaya Jata Hai.

Silsila E Madaria Mey Bai’at

Bachpan Se Hi Aap Ka Roojhan Deen Ki Taraf Raha. Aur Aap Roze Namaz Aur Shariyat E Mutahara Ke Bade Paband Rahe. Aap Apne Watan Ki Masjid Mey Namaz Ada Kiya Karte The Jahan Ke Imam Ki Qirat Per Aap Aashiq Hue. Ye Imam, Buzurg-O-Bartar Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Madari Rehmatullahealaih The, Jo Aage Chal Kar Aap Ke Madari Silsile Ke Peer-O-Murshid Huae. Dono Ki Umar Mubaraka Takriban Yaksa Thi. Aur Ye Is Rishte Ki Zinda Misaal Hui.

Aap Mureed Hone Se Pehle Bhi Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Rehmatullahealaih Ki Khidmat Me Rehte The Aur Mureedi Se Pehle Aap Ne Takriban 7 Saal Hazrat Ki Khidmat Me Guzare. Aap Raat Raat Bhar Hazrat Ki Khidmat Me Rehte Unhe Apne Hatho Se Chai Bana Kar Pilate. Aap Ne Baarhan Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Rehmatullahealaih Se Bai’at Ki Khwahish Zahir Ki, Lekin Maslihat E Khudawandi Ke Tahat 7 Saal Tak Aap Ko Baiat Nahi Kia Gaya.

Ek Raat Aap Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Rehmatullahealaih Ki Khidmat Me The Aur Aap Ne Hazrat Se Murid Hone Ki Khawahish Zahir Ki. Hazrat Ne Farmaya Theek Hai Aaj Subah Fajr Ki Namaz Mey Main Aap Ko Bait Karunga. Aap Ne Raat Bhar Hazrat Ki Khidmat Ki Aur Subah Sadiq Hone Per Dono Hazraat Saath Masjid Pohanche. Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Ne Baba Huzoor Se Farmya Aap Wazu Kar Ke Fajr Ki Sunnate Ada Kar Lije. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ne Aisa Hi Kiya, Aur Phir Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Ne Aap Ko Fajr Ki Sunat Aur Farz Namaz Ke Darmiyan Bait Kiya.

Riyazat O Mujahidat

Yahan Se Peer O Murhsid Rehmatullahealaih Ki Baqaida Ilme Batin Wa Irfan Ki Talimaat Ka Aagaz Hua. Aap Zyada Tar Waqt Apne Murshid Ki Khidmat Me Guzarte. Aur Har Waqt Zikr O Azkaar Ibadat O Riyazat Me Mashgool Rehte. Ye Aap Ki Jawani Ke Ayyam The.

Jald Hi Aap Ka Qalb Noori Mushaido Aur Mukashfo Se Munawwar Ho Gaya. Aap Ka Mamool Kuch Is Tarah Ka Hota Tha. Aap Din Me Rozgar Ke Liye Khilchipur Sharif Se Rajgadh Shahar 20 Km Cycle Per Jaya Karte. Aur Sham Me Ghar Wapas Loutte The. Maghrib Ki Namaz Ada Karne Ke Baad Khana Kha Kar So Jaya Karte. Aur Phir Raat Ko 12 Baje Uth Kar Isha Ki Namaz Ada Karte. Isha Ki Namaz Padh Kar Aap Masjid Ki Chat Per Zikr E Ilahi Mey Baith Jate Aur Fajr Ki Azaan Tak Zikr O Azkar Mey Masroof Rehte, Fajr Ki Namaz Jamat Se Ada Karne Ke Baad Aap Subah Dobara Rozgaar Ke Liya Cycle Se Rajgadh Ke Liye Rawana Ho Jaate. Aap Ne Ek Arsa Isi Tarah Guzara.

Aap Badi Pabandi Se Raato Ko Zikr Kiya Karte. Chahe Sardi Ho Garmi Ho Ya Barsaat. Watan Ki Sardiya Bohat Shadeed Hoti Hai. Log Sardiyon Mey Apne Makano Mey Garm Lihaf Mey Jakde Rehte Hai. Aise Thartarati Sardiyon Mey Bhi Aap Raat Ko Wuzu K Liye Aur Kabhi Gusul Ki Hajat Ho To Nadi Per Gusul Ke Liye Tashrif Le Jaate. Aksar Sardi Ke Dino Mey Nadi Ke Paani Mey Barf Jam Jaya Karti. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Apne Hatho Se Barf Ko Todte Aur Sisakti Hui Sardi Mey Nadi Ke Barfile Paani Se Wuzu Ya Gusul Lete Aur Masjid Aa Kar Zikr E Ilahi Mey Lag Jaate.

Ek Martaba Aap Jab Raat Ko Nadi Per Pohanche To Aap Ne Dekha Wahan Per Ek Buzurg Shaks Nadi Ke Kinare Khade Hai, Us Buzurg Shakhs Ne Baba Huzoor Ko Salam Kia, Baba Huzoor Ne Salam Ka Jawab Diya. Salam O Jawab K Baad Who Buzurg Hasti Paani Me Kood Kar Gayab Ho Gaye. Aap Bade Hairan Huae Aur Doosre Din Ye Saara Mamla Apne Peer O Murshid Rehmatullahealaih Se Bayan Kiya. Aap Ke Peer O Murshid Rehmatullahealaih Ne Farmaya Woh Buzurg Hazrat Khizar Alaihi Salam The Jo Aap Se Mulaqat Ke Liye Aaye The. Choonke Hazrat Khizar Alaihi Slam Ka Mukaam Paani Me Hai Isi Liye Aap Nadi Se Aaye The Aur Nadi Se Chale Gaye.

Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ki Hasti Zikr E Ilahi Mey Is Qadar Bheeg Chuki Thi Ke Aap Ka Duniyawee Maamlaat Mey Dil Nahi Lagta. Aap Ye Chahte The Ke Duniya Daari Chord Kar Jungle Bayaban, Ya Samander Ki Teele Per Ja Kar Yaad E Allah O Rasool Sallallaho Alaihiwassallam Mey Mashgool Rahe. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Aksar Ghar Chord Ke Jungle Chale Jaate, Aur Kai Dino Tak Wapas Nahi Aate. Baba Huzoor Ke Walid Sahab, Haji Subhan Ji Rehmatullahealaih Jungle Mey Aap Ko Dhoond Nikaalte Aur Aap Ko Ghar Le Aate. Baba Huzoor Ko Tab Apne Walid Buzurgwar Ke Roohani Darjaat Aur Roshan Zamiri Ka Ilm Hua. Walid E Garami Haji Subhan Ji Rehmatullahealaih Muraqib Ho Kar Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ka Pata Laga Liya Karte The Aur Unhe Apne Saath Ye Keh Kar Ghar Le Aate Ke Tumhari Walida Bohat Pareshan Hai Tumhari Yaad Mey Ro Rahi Hai. Baba Huzoor Apni Walida Ki Mohabbat Me Lout Aate. Ye Rabbul Aalameen Ki Tadbeere Thi Jo Aap Ki Hasti Se Makhlook E Khuda Ko Faiz Pohchana Chahti Hai. Isi Liye Aap Ko Jungle Ke Bajaye Hum Jaiso Mey Baar Baar Le Aati Thi.

Khilafat E Madaria

Peer O Murshid Sarkare Yazdani Rehmatullahealaih Kadi Mehnat Mushaqqat O Riyazat Se Apne Ruhani Safar Per Ghamzan Rahe Aur Bohat Jald Hi Tariqat, Marifat O Haqeeqat Ki Manzile Tai Karne Lage. Aap Ke Badhte Huae Darjaat Aap Ke Murshid Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Rehmatullahealaih Per Roshan The. Inhe Dekhte Huae Hazrat Qari Khalil Ur Rahman Rehmatullahealaih Ne Aap Ko Madari Silsile Ki Khilafat Ata Karne Ka Irada Kiya. Baba Huzoor Ne Farmaya, Main Khilafat Le Kar Kya Karunga, Main To Ye Chahta Hun Ke Ye Fikre Duniya Chord Kar Kisi Jungal Bayaban Aur Samnader Ke Kisi Jazire Per Chala Jaon Aur Zikr Ilahi Me Mast Rahun. Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Rehmatullahealaih Ne Farmaya Ke Allahpak Ne Tumhe Khidmate Khalq Aur Deen Ki Ishaat Ke Liye Muntakhib Kiya Hai Aur Mera Hukm Bhi Yahi Hai Ke Tum Makhluke Khuda Ke Liye Allah O Rasool Sallallaho Alaihiwassallam Ke Qurb Ka Wasila Bano. Us Waqt Baba Huzoor Ne Ek Shart Rakhi. Aap Ne Farmaya Main Ye Chahta Hun Ke Jitni Mushaqqat Maine Ki Hai Utni Mehnat Mere Hone Wale Muridoon Ko Na Karni Pade. Main Unhe Bait Karte Waqt Hi Pyale Mey Apni Ata Daal Kar Diya Karunga. Ye Hai Muridon Ka Khayal. Is Baat Per Hazrat Qari Khalil Ur Rehman Rehmatullahealaih Muskuraye Aur Unhone Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ko Madaria Ki Khilafat Ata Ki. Aur Ye Farmaya Ke Iski Sanad Tum Ko Makanpoor Sharif Me Dada Huzoor Hazrat Syed Qalb Ali Shah Madari Waqari Rehmatullahealaih Ki Moujoodgi Mey Dee Jayegi.

Bombay Me Hijrat

Ishq Imtehan Leta Hai. Watan Mey Aap Ke Maali Halat Din Ba Din Kharab Hote Gaye, Isi Liye Aap Apne Ahl O Ayaal Ke Saath Bombay Shahar Mey Hijrat Ki. Ye Angrez Hukumat Ka Daur Tha, Shuru Me Kuch Waqt Bombay Ke Grand Road Per Guzara. Jab Aap Bombay Pohanche To Aap Ke Paas Rupye Paise Bilkul Nahi The. Aap Ne Ek Taange Wale Se Kaha Ke Mujhe Kiraye Per Ghar Chahiye Lekin Mere Paas Is Waqt Paise Nahi Hai. Us Taange Wale Ne Baba Huzoor Ki Beti Ko Dekh Kar Badi Mohabbat Hui, Woh Baba Rehmatullahealaih Ko Ahl O Ayaal Ke Hamrah Apne Ghar Le Gaya Aur Apne Biwi Se Kaha Ke In Logo Ko Ooper Ka Karma Rehne Ke Liye De Do. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Farmate Hai Ke Allah Ta’ala Ki Madad Thi.

Mahim Sharif

Hazrat Peer Yazdani Rehmatullahealaih Ne Mahim Sharif Me Apni Darzi Ki Dukaan Kholi. Aap Ne Is Kaam Ko Bhi Is Khoobi Se Anjam Diya Ke Dur Daraz Se Log Aap Ke Pas Kapde Silwane Ke Liye Aate Aur Aap Master Ke Naam Se Mashoor Hue. Isi Mahim Ki Dukaan Mey Aap Saath Hi Saath Apne Hamrah Kaam Karne Walo Ko Suluk Ki Barabar Taalim Dete Rahe. Aap Ne Mahim Hi Main Do Dukane Badly Aur Aakhir Me Jo Dukan Aap Ke Paas Thi Us Ka Naam Aap Ne "Smart Tailor" Rakha Tha.

Mahim Sharif Mey Hazrat Qutbe Kokan Makhdoom Shah Fakih Ali Rehmatullahealaih Ka Mazaar E Akdas Hai, Hazrat Makhddom Sarkar Rehmatullahealaih Ki Nazre Karam Aur Inayato Ke Sadke Aage Chal Kar Peer O Murshid Rehmatullahealaih Ka Silsila Parwan Chadha. Ye Hazrat Makhddom Sarkar Rehmatullahealaih Ka Hi Faiz Hai Ke Mahim Sharif Mey Aap Ke Sab Se Zyada Murideen Hai. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ko Mahim Sharif Se Bohat Mohabbat Rahi Hai. Yahan Per Aap Apne Ahle Khana Ke Liye Halal Kamayee Karte Aur Ba'dastoor Darbare Makhdoom Shah Rehmatullahealaih Me Haziri Dete Rehte. Aur Hazrat Makhdoom Shah Sarkar Ki Inayato Se Faizyab Hote Rehte. Apne Kaam Ke Waqt Bhi Aap Ka Qalbi Zikr Jari Rehta. Aap Logo Mey Is Traha Se Rehte Ke Kisi Ko Aap Ke Roohani Kefiyaat Ka Pata Hi Nahi Chalta. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ne Apni Hasti Ko Hamesha Sab Se Chupa Kar Rakha Aur Har Waqt Zikr Ilahi Mey Sarshar Rahe.

Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ke Darbar Mey Hazri

Bachpan Hi Se Aap Khwab Me Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ke Aastane Ki Ziyarat Kiya Karte Aa Rahe The. Lekin Aap Is Astane Ka Zahiri Pata Nahi Jante The Aur Hamesha Se Yahan Hazri Ke Khwahish Mand Rahe. Yahan Tak Ke Aap Ko Is Aastane Ka Raasta Tak Khwab Me Bataya Gaya. Chunke Aap Kabhi Bhandup Mey Us Jaga Per Gaye Hi Nahi The Jahan Per Jungal Mey Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ka Aastana Hai, Isi Liye Aap Woh Rasta Samajh Nahi Paye. Peer O Murshid Rehmatullahealaih Ne Arz Ki Ke Sirf Khwab Me Hi Deedar Kara Rahe Ho, Kabhi Dar Per Bhi Bula Lijiye.

Ek Din Aap Ke Ek Aziz Dost Hazrat Amiruddin Urf Bhai Rehmatullahealaih Baba Huzoor Se Mulaqat Ke Liye Aap Ki Dukan Per Aaye Aur Aap Se Ek Dargah Sharif Chalne Ki Khwahish Zaahir Ki Aur Kaha Aap Wahan Chalye Aap Khush Ho Jaayenge. Baba Huzoor To Hamesha Se Awliya Karaam Ke Aashiq Rahe Hai, Aap Fauran Dargah Sharif Chalne Ke Liye Razi Ho Gaye. Mamool Ke Mutabik Aap Ne Raat Ko Apni Dukaan Bandh Ki Aur Hazrat Ameeruddin Bhai Rehmatullahealaih Ke Saath Daragah Par Hazri Ke Liye Rawana Ho Gaye. Jab Aap Us Aastane Par Phonche To Aap Ki Khushi Ki Inteha Na Rahi. Aap Ko Pata Chala Ke Wohi Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ka Aastana Hai, Jis Dargah Ki Ziyarat Aap Bachpan Se Hi Khwaab Mey Karte Rahe Hai .

Iske Baad Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ka Faizan Aap Par Jaari Ho Gaya. Aur Hazrat Gaiban Sarkar Rehmatullahealaih Ne Apne Khazano Ko Baba Huzoor Ke Liye Khol Diya, Aur Beshumar Ata Kiya. Pehli Hazri Ke Baad Aap Jab Apne Mamool Mey Masroof Ho Gaye To Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahi Ne Khawab Me Ziyarat Bakshi Aur Farmaya Ab Kya Mujhe Baar Baar Aap Ko Bulane Ke Liye Kisi Ko Bhejna Padega. Peer O Murshid Rehmatullahealaih Is Khawab Ke Baad Akele Hi Dargah Ke Liye Nikal Pade. Us Zamane Mey Aap Ke Paas Koi Sawari Nahi Thi Aur Ye Dargah Sharif Jungal Ke Darmiyan Thi. Aap Jab Jungal Ke Kareeb Pohanche Raat Bohat Ho Chuki Thi Aur Andhere Ki Wajah Se Rasta Nazar Nahi Aa Raha Tha. Itne Mey Ek Buzurg Lalten Liye Huae Aaye Aur Aap Ke Aage Aage Aap Ko Raasta Dikhate Hue Chalne Lage. Aap Un Buzurg Ke Peeche Peeche Lalten Ki Roshni Me Jungal Se Guzarte Huae Aastane Tak Pohanch Gaye. Aastane Se Kuch Pehle Woh Buzurg Doosre Raste Per Chalte Huae Gayab Ho Gaye. Aage Chal Kar Aap Ko Pata Chala Ke Woh Buzurg, Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih The Jo Aap Ko Jungal Se Roshni Dikhate Huae Aastane Tak Le Aaye.

Iske Baad Baba Huzoor Aksar Sanichar (Saturday) Ki Raat Ko Ya Itwaar (Sunday) Ki Subah Ko Dargah Sharif Per Hazri Dene Zaroor Aate. Kabhi Aap Hazrat Ameerudin Bhai Rehmatullahealaih Ke Hamrah, Ya Kabhi Akele Hi Aa Jaya Karte. Isi Sunnat Ke Chalte Aaj Bhi Aap Ke Murideen Sanichar Ki Raat Ya Itwar Ki Subah Ko Darbare Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Mey Haazri Ke Liye Aate Hai. Peer O Murshid Rehmatullahealaih Is Darbar Se Wabasta Ho Gaye Aur Sarkar Gaiban Shah Rehmatullahealaih Ke Faiz Se Aap Apne Roohani Darjaat Bulund Karte Chale Gaye. Ek Roz Eid Ke Din Aap Dargah Sharif Per Haazir Huae Aur Do Zanu Murakibe Mey Dargah Sharif Me Baith Gaye. Aap Ne Hazrat Gaiban Shah Rehmatullahealaih Se Arz Ki Ke Aaj To Eid Hai, Kya Aap Mujh Se Gale Nahi Milege. Itna Arz Karna Tha Ke Hazrat Gaiban Shah Sarkar Rehmatullahealaih Apni Qabre Anwar Se Mujassim Bahar Tashrif Laye Aur Peer O Murshid Ke Dono Hatho Ko Apne Hatho Se Pakad Kar Aap Ko Khada Kiya Aur Gale Se Laga Liya. Aur Kuch Der Baad Gayab Ho Gaye. Murshide Mohatram Rehmatullahealaih Ne Jab Apni Aankhe Kholi To Aap Ke Dono Haath Is Tarah Se The Jaise Kisi Se Bagalgeer Hue Ho. Ye Hai Mohabbat Aur Mohabbat Ka Ajr.

Peer O Murshid Rehmatullahealaih Ne Hazrat Ameeruddin Bhai Rehmatullahealaih Ke Saath Mil Kar Baqaida Is Darbar Mey Urs Ka Ehtamam Kiya. Aur Har Saal Hazrat Gaiban Shah Sarkar Rehmatullahealaih Ka Urs Manate Aur Qabre Anwar Ko Behtreen Tarike Se Khidmat O Gusul Diya Karte. Aaj Bhi Baba Huzoor Ke Murideen Har Saal Hazrat Gaiban Shah Sarkar Rehmatullahealaih Ka Urs Badi Hi Aqeedat O Mohabbat Se Manate Hai. Hazrat Gaiban Shah Sarkar Rehmatullahealaih Ka Urs Har Saal December Ke Mahine Mey Aane Wali Islami 11 (Gyarvhi) Tarikh Ko Manaya Jaata Hai.

Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ke Duniya Bhar Mey 500 Se Ziyada Chille Hai. Ek Martaba Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ne Hazrat Gaiban Shah Rehmatullahealaih Se Farmaya, Ke Sarkar Aap Ke To 500 Se Ziyada Chille Hai To Aap Ka Urs To Roz Manaya Jata Hoga. Hazrat Gaiban Shah Sarkar Rehmatullahealaih Muskuraye Aur Farmaya "Haan, Kabhi Kabhi Ek Din Me Do Aur Us Se Zyada Bhi Mere Urs Manaye Jaate Hai."

Silsila E Qadria Me Bai’at

Aastan-E-Gaiban Shah Rehmatullahealaih Se Baba Huzoor Rehmatullahealaih Ko Silsila-E-Qadria Mey Bai’at Lene Ka Hukm Hua. Aap Aksar Sochte The Ke Kis Peer E Kamil Ke Haat Per Qadria Silsile Mey Bai’at Ki Jaye. Aap Ko Dobara Hazrat Gaiban Shah Sarkar Rehmatullahealaih Ne Qadri Silsile Se Judne Ka Ishara Farmaya. Baba Huzoor Ne Arz Ki, Main Kis Peer Ke Haath Per Qadria Ki Bai’at Lun. To Hazrat Gaiban Shah Rehmatullahealaih Ne Aap Ko Dada Peer Hazrat Yunus Shah Qadri Khushhali Peer Rehmatullahealaih Ki Tasweer Dikhyee Aur Farmaya In Se Qadria Silsile Be Bai’at Le Lo.

Baba Huzoor Ne Is Se Pehle Kabhi Hazrat Yunus Shah Qadri Rehmatullahealaih Ko Dekha Nahi Tha, Aap Soch Rahe The Ke Ab Inhe Kahan Dhoonde. Kuch Arse Baad Ek Roz Baba Huzoor Rehmatullahealaih Bhandup Sharif Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ke Darbar Me Haazri Dene Ja Rahe The. Raaste Mey Ghatkopar Mey Aap Ki Bus Signal Per Ruki To Aap Ki Nazar Hazrat Sayed Tajjamul Shah Hussain Al-Maroof Pankhe Shah Baba Rehmatullahealaih Ki Dargah Per Gayee. Aap Ne Socha Yahan Haazri De Kar Salam Kar Leta Hun Aur Aap Bus Se Uatar Gaye. Jab Aap Dargah Shareef Me Pohanche To Wahan Per Hazrat Yunus Shah Qadri Rehmatullahealaih Bhi Maujood The. Baba Huzoor Rehmatullahealaih Unhe Dekh Kar Pehchan Gaye Ke Ya Wohi Peer E Kamil Hai Jis Ki Tasweer Hazrat Gaiban Shah Qadri Rehmatullahealaih Ne Aap Ko Dikhayee Thi. Aap Bade Khush Huae Aur Aap Ne Ja Kar Hazrat Yunus Shah Qadri Rehmatullahealaih Se Mulaqat Ki, Saara Majra Sunaya Aur Silsila E Qadria Mey Bai’at Ki Khawahish Zahir Ki. Dada Jaan Rehmatullahealaih Ne Phir Aap Ko Murid Kiya. Is Tarah Se Aap Ka Silsila E Qadria Se Judna, Apne Aap Mey Ek Karamt Hai.

To Be Continued...