Peer-O-Murshid Hazrat
Al-Haj Khwaja
Shaikh Muhammed Fazal
Hussain Shah
Madari Qadri Chisti
Al-Maroof Peer-E-Yazdani
(R.A.)

Aap Ki Paidaish 1915 Mein Rajgadh ka ek chota sa kasba Khilchipur mein huei. Walid ka naam Haji Subhanji Shaikh Agwan aur Walida Mauhtrama ka naam Sakina Bi. Aap ki 2 Behne aur 4 Bhai the.


Aap ki zindagi pe Hazrat Batakshaani (R.A.) ka bada karam raha. Bachpan mein ek baar aap ek laahak marz mein mubtila huae. Jis marz ki wajeh se aap ke pehle birather Ibrahim is duniya-e-faani se kooch kar gaye the. Kuch arsa baad hazrat bhi isi marz mein mubtila huae aur is shadid marz ki wajeh se aap ke walid aap ko apne Peer-O-Murshid Hazrat Batakshaani (R.A.) ke paas legaye aur shifa-e-kulli ki darkhasth ki. Tab Hazrat Batakshaani ne farmaya ke ye baccha duniya mein kam aur deen mein zyada naam roshan karega.

Bachpan se hi aap ka roojhan deen ki taraf raha. Kuch arsa baad aap ke watan ki masjid mein namaz padhne gaye toh wahan par Imam ki kirat sun kar woh unki kirat par ashique hogaye. Ye Buzurg-O-Bartar aage chal kar aap ke Peer-O-Murshid huae. Dono ki umar mubaraka takriban yaksa thi. Aur ye is rishte ki zinda misaal hui jab aap ne apne Peer-O-Murshid ki khidmat mein bait hone se pehle 7 saal aur bait hone ke baad 2.5 saal guzare.

Phir aap ka ana mumbai hua yahan akar aap ne Mahim Shareef me Zariyae Maash ikhtiyar kiya ek baat kabile taarif yeh thi ke waise toh aap peshe se Darzi the lekin aap ne is kaam ko bhi itni khoobi se anjam diya ke dur daraz se log aap ke pas kapde silwane ke liye aate aur aap Master ke naam se mashoor hue saath saath aap apne saath rehne walon ko suluk ki barabar taalim dete.

Waise aap ka talluq silsila-e-madari se tha lekin ek din aap ke ek Aziz dost Amiruddin urf Bhai(R.A.) ne aap se Gaiban shah Qadri(R.A.) Chalne ki khwahish zaahir ki aur kaha aap wahan chalye aap khush ho jaayenge. mamool ke mutabik aap unke saath Daragah par chale gaye. Lekin jab aap Gaiban shah(R.A.) ke Aastane par phonche to aap ko pata chala ke isi dargah ki ziyarat aap bachpan se hi khwaab me Karte the. Iske baad Hazrat Gaiban Shah (R.A.) ka faiz aap par Jaari ho gaya aur unke faiz se aap apne roohani darjaat bulund karte chale gaye aap ki zindagi par Hazrat Gaiban shah(R.A.) ka bada karam raha Aur isi sunnat ke chalte aaj bhi aap ke mureedeen Hazrat Gaiban Shah(R.A.) ke dar par har Itwar(Sunday) ko haazri dekar faiz yaab hote hai.

phir ek arse ke baad Astan-e-gaiban Shah(R.A.) se aap ko Silsila-e-Qadri ki khilafat lene aur khidamte ummate muhammadi ka hukm hua aur dheere dheere allah ne aap ke silsile ko Urooj baksha aur Alhamdulillah aaj yeh silsila sirf mahim tak hi nahi balke duniya ke kone kone mein maujood hai "Aye Shah Rang Laai tere Jaam Ki jhalak Khalqe khuda nisar kiya Hooro malak ki baat"

Read More...